Waqt Un Ka Dushman Hai

wo kisi galileo ka intizar nahin kar rahe hain

ek baDi ghaDi tayyar karne ke liye

jise shahr ki ek yaadgari diwar mein nasab kiya ja sake

is KHala mein

hamari tariKH ki akkasi ke alawa

KHwatin ke aalami din par

jhula Dala ja sakta hai

chini taifa

bans se uchhal kar us mein se guzar sakta hai

us mein

ek lash ko muKHtasar kar ke laTkaya ja sakta hai

ise mohan joDaro ki inTon se

chuna ja sakta hai

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Un Ka Dushman Hai In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Waqt Un Ka Dushman Hai is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Waqt Un Ka Dushman Hai for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Waqt Un Ka Dushman Hai in PDF.