Kya Aag Sab Se Achchhi KHaridar Hai

lakDi ke bane hue aadmi

pani mein nahin Dubte

aur diwaron se Tange ja sakte hain

shayad unhen yaad hota hai

ki aara kya hai

aur daraKHt kise kahte hain

har daraKHt mein lakDi ke aadmi nahin hote

jis tarah har zamin ke TukDe mein koi kar-amad chiz nahin hoti

jis daraKHt mein lakDi ke aadmi

ya lakDi ki mez

ya kursi

ya palang nahin hota

aara banane wale use aag ke hath bech dete hain

aag sab se achchhi KHaridar hai

wo apna jism muawze mein de deti hai

magar

aag ke hath gili lakDi nahin bechni chahiye

gili lakDi dhup ke hath bechni chahiye

chahe dhup ke pas dene ko kuchh na ho

lakDi ke bane hue aadmi ko dhup se mohabbat karni chahiye

dhup use sidha khaDa hona sikhati hai

main jis aare se kaTa gaya

wo maqnatis ka tha

use lakDi ke bane hue aadmi chala rahe the

ye aadmi daraKHt ki shaKHon se banae gae the

jab ki main daraKHt ke tane se bana

main har kamzor aag ko apni taraf khinch sakta tha

magar ek bar

ek jahannam mujh se khinch gaya

lakDi ke bane hue aadmi

pani mein bahte hue

diwaron par Tange hue

aur qataron mein khaDe hue achchhe lagte hain

unhen kisi aag ko apni taraf nahin khinchna chahiye

aag jo ye bhi nahin puchhti

ki tum lakDi ke aadmi ho

ya mez

ya kursi

ya diya-salai

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Aag Sab Se Achchhi KHaridar Hai In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Kya Aag Sab Se Achchhi KHaridar Hai is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Kya Aag Sab Se Achchhi KHaridar Hai for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Kya Aag Sab Se Achchhi KHaridar Hai in PDF.