Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya

gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya

main tegh-e-tez tha lekin mujhe zawal aaya

ajab hua ki sitara-shanas se mil kar

shikast-e-anjum-e-nau-KHez ka KHayal aaya

main KHak-e-sard pe soya to mere pahlu mein

phir ek KHwab-e-shikast aaina-misal aaya

kaman-e-shaKH se gul kis hadaf ko jate hain

nasheb-e-KHak mein ja kar mujhe KHayal aaya

koi nahin tha magar sahil-e-tamanna par

hawa-e-sham mein jab rang-e-indimal aaya

yahi hai wasl dil-e-kam-muamla ke liye

ki aaine mein wo KHurshid-e-KHadd-o-KHal aaya

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya in PDF.