Ye Nahr-e-ab Bhi Uski Hai Mulk-e-sham Us Ka

ye nahr-e-ab bhi us ki hai mulk-e-sham us ka

jo hashr mujh pe bapa hai wo ehtimam us ka

sipah-e-taza bhi us ki saf-e-nigah se hai

safa-e-sina-e-shmshir par hai nam us ka

aman KHema-e-ram-KHurdgan mein baqi hai

ki na-tamam hai ek shauq-e-qatl-e-am us ka

kitab-e-umr se sab harf uD gae mere

ki mujh asir ko hona hai ham-kalam us ka

dil-e-shikasta ko lana hai ru-ba-ru us ke

jo mujh se narm hua koi band dam us ka

main us ke hath se kis zaKHm mein kami rakkhun

shuru-e-naz bhi us ka hai iKHtitam us ka

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nahr-e-ab Bhi Uski Hai Mulk-e-sham Us Ka In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Ye Nahr-e-ab Bhi Uski Hai Mulk-e-sham Us Ka is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Ye Nahr-e-ab Bhi Uski Hai Mulk-e-sham Us Ka for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Ye Nahr-e-ab Bhi Uski Hai Mulk-e-sham Us Ka in PDF.