KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai

KHud nazaron pe nazaron ko hansi aati hai

baghbanon pe bahaaron ko hansi aati hai

ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein akasr

phul to phul hain KHaron ko hansi aati hai

mehr-o-iKHlas ki duniya mein ye kya baat hui

aaj yaron hi pe yaron ko hansi aati hai

aisi be-jaan si hai mere harifon ki hansi

jaise tufan pe kinaron ko hansi aati hai

kya kare aah wo bechaara musafir jis par

aap ki rah-guzaron ko hansi aati hai

koi jab chand sitaron se ho masruf-e-suKHan

kis qadar chand sitaron ko hansi aati hai

KHair ho KHair mashiyyat ke iradon ki qasam

aaj taqdir ke maron ko hansi aati hai

hae kis moD pe aaya hai ab afsana-e-gham

mere afsana-nigaron ko hansi aati hai

hum hain mahrum-e-masarrat to koi baat nahin

ye bhi kya kam hai sahaaron ko hansi aati hai

gardish-e-waqt ne kya phir koi surat badli

ya yunhi waqt-guzaron ko hansi aati hai

shayad 'aKHgar' hi ki tauba ki KHabar hai yaro

aaj saqi ke ishaaron ko hansi aati hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai In English By Famous Poet Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai is written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Read famous Poem KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai for youth and Student by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Free Download KHud Nazaron Pe Nazaron Ko Hansi Aati Hai in PDF.