Tashqand Ki Sham

manao jashn-e-mohabbat ki KHun ki bu na rahi

baras ke khul gae barud ke siyah baadal

bujhi bujhi si hai jangon ki aaKHiri bijli

mahak rahi hai gulabon se tashqand ki sham

jagao gesu-e-jaanan ki ambarin raaten

jalao saad-e-simin ki sham-e-kafuri

tawil boson ke gul-rang jam chhalkao

ye surKH jam hai KHuban-e-tashqand ke nam

ye sabz jam hai lahore ke hasinon ka

safed jam hai dilli ke dilbaron ke liye

ghula hai jis mein mohabbat ke aaftab ka rang

khuli hui hai ufuq par shafaq tabassum ki

nasim-e-shauq chali mehrban takallum ki

labon ki shoala-fishani hai shabnam-afshani

isi mein subh-e-tamanna naha ke nikhregi

kisi ki zulf na ab sham-e-gham mein bikhregi

jawan KHauf ki wadi se ab na guzrenge

jiyale maut ke sahil pe ab na utrenge

bhari na jaegi ab KHak-o-KHun se mang kabhi

milegi man ko na marg-e-pisar ki KHush-KHabari

koi na dega yatimon ko ab mubarakbaad

khilenge phul bahut sarhad-e-tamanna par

KHabar na hogi ye nargis hai kis ki aaankhon ki

ye gul hai kis ki jabin kis ka lab hai ye lala

ye shaKH kis ke jawan bazuon ki angDai

bas itna hoga ye dharti hai shahsawaron ki

jahan-e-husn ke gumnam tajdaron ki

ye sarzamin hai mohabbat ke KHwastgaron ki

jo gul pe marte the shabnam se pyar karte the

KHuda kare ki ye shabnam yun hi barasti rahe

zamin hamesha lahu ke liye tarasti rahe

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tashqand Ki Sham In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Tashqand Ki Sham is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Tashqand Ki Sham for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Tashqand Ki Sham in PDF.