Main KHud Ko Mismar Kar Ke Malba Bana Raha Hun

main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun

yahi bana sakta hun lihaza bana raha hun

kisi ke sine mein bhar raha hun main apni sansen

kisi ke katbe ko apna katba bana raha hun

bahut bhali lagti hai use bhi meri udasi

KHushi KHushi KHud ko dil-girafta bana raha hun

hujum ko mere qahqahon ki KHabar nahin hai

bana hua hun ki main tamasha bana raha hun

har ek chehre pe KHal-o-KHad ki numaishen hain

main KHal-o-KHad ke baghair chehra bana raha hun

khuli hui hai jo koi aasan rah mujh par

main us se haT ke ek aur rasta bana raha hun

falak se upar bhi ek chhat hai zamin aisi

falak ke us par ek zina bana raha hun

meri tawajjoh bas ek nuqte pe murtakiz hai

main apni quwwat ko ek zarra bana raha hun

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHud Ko Mismar Kar Ke Malba Bana Raha Hun In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Main KHud Ko Mismar Kar Ke Malba Bana Raha Hun is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Main KHud Ko Mismar Kar Ke Malba Bana Raha Hun for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Main KHud Ko Mismar Kar Ke Malba Bana Raha Hun in PDF.