SaKHt Mushkil Mein Kiya Hijr Ne Aasan Mujhe

saKHt mushkil mein kiya hijr ne aasan mujhe

dusra ishq hua pahle ke dauran mujhe

tere andar ki udasi ke mushabah hun main

KHal-o-KHad se nahin aawaz se pahchan mujhe

ajnabi shahr mein ek luqme ko tarsa hua main

mezban jismon ne samjha nahin mehman mujhe

ek hi shakl ke sab chehre the lekin phir bhi

ek chehre ne to behad kiya hairan mujhe

main mohabbat bhi mohabbat ke ewaz deta hun

phir bhi ho jata hai is kaam mein nuqsan mujhe

bhule-bisre kisi naghme ki si shadab aawaz

raat kanon mein paDi kar gai sunsan mujhe

jaane kab saunp dun miTTi ko ye miTTi ka qafas

jaane kab dena paDe ruh ka tawan mujhe

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SaKHt Mushkil Mein Kiya Hijr Ne Aasan Mujhe In English By Famous Poet Anjum Saleemi. SaKHt Mushkil Mein Kiya Hijr Ne Aasan Mujhe is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem SaKHt Mushkil Mein Kiya Hijr Ne Aasan Mujhe for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download SaKHt Mushkil Mein Kiya Hijr Ne Aasan Mujhe in PDF.