Is Se Aage To Bas La-makan Rah Gaya

is se aage to bas la-makan rah gaya

ye safar bhi mera raegan rah gaya

ho gae apne jismon se bhi be-niyaz

aur phir bhi koi darmiyan rah gaya

rakh poron se jhaDti gai umr ki

sans ki naliyon mein dhuan rah gaya

ab to rasta batane pe mamur hun

be-hadaf tir tha be-kaman rah gaya

jab palaT hi chale ho ai dida-waro

mujh ko bhi dekhna main kahan rah gaya

miT gaya hun kisi aur ki qabr mein

mera katba kahin be-nishan rah gaya

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Aage To Bas La-makan Rah Gaya In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Is Se Aage To Bas La-makan Rah Gaya is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Is Se Aage To Bas La-makan Rah Gaya for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Is Se Aage To Bas La-makan Rah Gaya in PDF.