Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai

charagh hath mein ho to hawa musibat hai

so mujh mariz-e-ana ko shifa musibat hai

sahulaten to mujhe ras hi nahin aatin

qubuliyat ki ghaDi mein dua musibat hai

uThae phirta raha main bahut mohabbat ko

phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai

main aaj Dub chala ret ke samundar mein

chahaar-samt ye raqs-e-hawa musibat hai

KHud-agahi ka jo mujh par nuzul jari hua

main kya kahun ki ye rahmat hai ya musibat hai

bahut jacha hai ye be-dagh pairahan mujh par

go KHak-zad ko aisi qaba musibat hai

main kam hi rahta hun 'anjum' KHuda ki sohbat mein

gunahgar ko KHauf-e-KHuda musibat hai

(1845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai in PDF.