Tanhai Ka Safarnama

sham hote hi ghar mujh se chhoTa paD jata hai

main raston ki bad-dua par nikla hun

jahan aankhon ko chehre kamane se fursat nahin

lagta hai tanhai mujh se ub gai hai

sansen maili ho rahi thin

miTTi ne mujhe phul bana diya

KHushbu hawa ki dost ho jae

to be-range log rang rang ki baaten

karte hi hain

(wo KHwah kitne bhi chhoTe ho jaen

achchha mausam in par kabhi pura nahin aata)

bad-zabanon ko malum nahin

uryani sirf aankhon par jachti hai

main zamin par gira hua chand hun

qadmon se pahle diwar mujhe phalang rahi hai

munDer par dhara charagh mujh se ziyaada raushan hai!

main bhi to main hun

ek gunah ke ewaz apna sari nekiyan

KHarch kar baiThta hun

KHamoshi ke KHali badan mein

koi dhun mujhe gungunati rahti hai

udasi aur kahan rahe

kash KHuda mujhe dekh raha ho!

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Ka Safarnama In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Tanhai Ka Safarnama is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Tanhai Ka Safarnama for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Tanhai Ka Safarnama in PDF.