Gham-e-hayat Se Jab Wasta PaDa Hoga

gham-e-hayat se jab wasta paDa hoga

mujhe bhi aap ne dil se bhula diya hoga

suna hai aaj wo ghamgin the malul se the

koi KHarab-e-wafa yaad aa gaya hoga

nawazishen hon bahut ehtiyat se warna

meri tabahi se tum par bhi tabsira hoga

kisi ka aaj sahaara liya to hai dil ne

magar wo dard bahut sabr-azma hoga

judai ishq ki taqdir hi sahi gham-KHwar

magar na jaane wahan un ka haal kya hoga

bas aa bhi jao badal den hayat ki taqdir

hamare sath zamane ka faisla hoga

KHayal-e-qurbat-e-mahbub chhoD daman chhoD

ki mera farz meri rah dekhta hoga

bas ek nara-e-rindana ek jura-e-talKH

phir us ke baad jo aalam bhi ho naya hoga

mujhi se shikwa-e-gustaKHi-e-nazar kyun hai

tumhein to sara zamana hi dekhta hoga

'asad' ko tum nahin pahchante tajjub hai

use to shahr ka har shaKHs jaanta hoga

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hayat Se Jab Wasta PaDa Hoga In English By Famous Poet Asad Bhopali. Gham-e-hayat Se Jab Wasta PaDa Hoga is written by Asad Bhopali. Read famous Poem Gham-e-hayat Se Jab Wasta PaDa Hoga for youth and Student by Asad Bhopali. Free Download Gham-e-hayat Se Jab Wasta PaDa Hoga in PDF.