Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai

ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai

qatre mein samundar hai zarre mein bayaban hai

hai ishq ki mahshar mein yun mast o KHiraman hai

dozaKH ba-gareban hai firdaus ba-daman hai

hai ishq ki shorish se ranai o zebai

jo KHun uchhalta hai wo rang-e-gulistan hai

phir garm-e-nawazish hai zau mehr-e-daraKHshan ki

phir qatra-e-shabnam mein hangama-e-tufan hai

ai paikar-e-mahbubi main kis se tujhe dekhun

jis ne tujhe dekha hai wo dida-e-hairan hai

sau bar tera daman hathon mein mere aaya

jab aankh khuli dekha apna hi gareban hai

ek shorish-e-be-wasl ek aatish-e-be-parda

aafat-kada-e-dil mein ab kufr na iman hai

dhoka hai ye nazron ka bazicha hai lazzat ka

jo kunj qafas mein tha wo asl gulistan hai

ek ghuncha-e-afsurda ye dil ki haqiqat thi

ye maujzani KHun ki rangini-e-paikan hai

ye husn ki maujen hain ya josh-e-tabassum hai

us shoKH ke honTon par ek barq si larzan hai

'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha

ashaar mein sunte hain kuchh kuchh wo numayan hai

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai in PDF.