Kaisi Aashuftagi-e-sar Hai Yahan

kaisi aashuftagi-e-sar hai yahan

ras sahra yahan na ghar hai yahan

ek gham hai ki be-mudawa hai

ek rona ki umr bhar hai yahan

jo bhi kawish hai be-sila be-sud

jo shajar hai wo be-samar hai yahan

ek masafat ki tai nahin hoti

manzilon manzilon safar hai yahan

yun riwayat se kaT gae lekin

tajraba jo hai talKH-tar hai yahan

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Aashuftagi-e-sar Hai Yahan In English By Famous Poet Asif Jamal. Kaisi Aashuftagi-e-sar Hai Yahan is written by Asif Jamal. Read famous Poem Kaisi Aashuftagi-e-sar Hai Yahan for youth and Student by Asif Jamal. Free Download Kaisi Aashuftagi-e-sar Hai Yahan in PDF.