Sine Mein Un Ke Jalwe Chhupae Hue To Hain

sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain

hum apne dil ko tur banae hue to hain

tasir-e-jazb-e-shauq dikhae hue to hain

hum tera har hijab uThae hue to hain

han kya hua wo hausla-e-did-e-ahl-e-dil

dekho na wo naqab uThae hue to hain

tere gunahgar gunahgar hi sahi

tere karam ki aas lagae hue to hain

allah-ri kaamyabi-e-awargan-e-ishq

KHud gum hue to kya use pae hue to hain

yun tujh ko iKHtiyar hai tasir de na de

dast-e-dua hum aaj uThae hue to hain

zikr un ka gar zaban pe nahin hai to kya hua

ab tak nafas nafas mein samae hue to hain

miTte huon ko dekh ke kyun ro na den 'majaz'

aaKHir kisi ke hum bhi miTae hue to hain

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sine Mein Un Ke Jalwe Chhupae Hue To Hain In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Sine Mein Un Ke Jalwe Chhupae Hue To Hain is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Sine Mein Un Ke Jalwe Chhupae Hue To Hain for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Sine Mein Un Ke Jalwe Chhupae Hue To Hain in PDF.