Idhar Bhi Aa

ye johd-o-kashmakash ye KHarosh-e-jahan bhi dekh

adbar ki, saron pe ghani badliyan bhi dekh

ye top ye tufang ye tegh o sinan bhi dekh

o kushta-e-nigar-e-dil-ara idhar bhi aa

aa, aur bigul ka naghma-e-jaan-afrin bhi sun

aa, be-kason ka nala-e-andoh-gin bhi sun

aa, baghiyon ka zamzama-e-atishin bhi sun

o mast-e-saz-o-barbat-o-naghma idhar bhi aa

taqdir kuchh ho, kawish-e-tadbir bhi to hai

taKHrib ke libas mein tamir bhi to hai

zulmat ke hijab mein tanwir bhi to hai

aa muntazir hai ishrat-e-farda idhar bhi aa

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Bhi Aa In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Idhar Bhi Aa is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Idhar Bhi Aa for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Idhar Bhi Aa in PDF.