Saqi-e-gulfam Ba-sad Ehtimam Aa Hi Gaya

saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya

naghma bar lab KHum ba sar baada ba jam aa hi gaya

apni nazron mein nashat-e-jalwa-e-KHuban liye

KHalwati-e-KHas su-e-bazm-e-am aa hi gaya

meri duniya jagmaga uTThi kisi ke nur se

mere gardun par mera mah-e-tamam aa hi gaya

jhum jhum uTThe shajar kaliyon ne aankhen khol din

jaanib-e-gulshan koi mast-e-KHiram aa hi gaya

phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai

shauq ki shoKHi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya

meri shab ab meri shab hai mera baada mere jam

wo mera sarw-e-rawan mah-e-tamam aa hi gaya

bar-ha aisa hua hai yaad tak dil mein na thi

bar-ha masti mein lab par un ka nam aa hi gaya

zindagi ke KHaka-e-sada ko rangin kar diya

husn kaam aae na aae ishq kaam aa hi gaya

khul gai thi saf gardun ki haqiqat ai 'majaz'

KHairiyat guzri ki shahin zer-e-dam aa hi gaya

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi-e-gulfam Ba-sad Ehtimam Aa Hi Gaya In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Saqi-e-gulfam Ba-sad Ehtimam Aa Hi Gaya is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Saqi-e-gulfam Ba-sad Ehtimam Aa Hi Gaya for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Saqi-e-gulfam Ba-sad Ehtimam Aa Hi Gaya in PDF.