Sara Aalam Gosh-bar-awaz Hai

sara aalam gosh-bar-awaz hai

aaj kin hathon mein dil ka saz hai

tu jahan hai zamzama-pardaz hai

dil jahan hai gosh-bar-awaz hai

han zara jurat dikha ai jazb-e-dil

husn ko parde pe apne naz hai

ham-nashin dil ki haqiqat kya kahun

soz mein Duba hua ek saz hai

aap ki maKHmur aankhon ki qasam

meri mai-KHwari abhi tak raaz hai

hans diye wo mere rone par magar

un ke hans dene mein bhi ek raaz hai

chhup gae wo saz-e-hasti chheD kar

ab to bas aawaz hi aawaz hai

husn ko nahaq pasheman kar diya

ai junun ye bhi koi andaz hai

sari mahfil jis pe jhum uTThi 'majaz'

wo to aawaz-e-shikast-e-saz hai

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sara Aalam Gosh-bar-awaz Hai In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Sara Aalam Gosh-bar-awaz Hai is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Sara Aalam Gosh-bar-awaz Hai for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Sara Aalam Gosh-bar-awaz Hai in PDF.