Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna

sazgar hai hamdam in dinon jahan apna

ishq shadman apna shauq kaamran apna

aah be-asar kis ki nala na-rasa kis ka

kaam bar-ha aaya jazba-e-nihan apna

kab kiya tha is dil par husn ne karam itna

mehrban aur is darja kab tha aasman apna

uljhanon se ghabrae mai-kade mein dar aae

kis qadar tan-asan hai zauq-e-raegan apna

kuchh na puchh ai hamdam in dinon mera aalam

mutrib-e-hasin apna saqi-e-jawan apna

ishq aur ruswai kaun si nai shai hai

ishq to azal se tha ruswa-e-jahan apna

tum 'majaz' diwane maslahat se begane

warna hum bana lete tum ko raaz-dan apna

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna in PDF.