Junun-e-shauq Ab Bhi Kam Nahin Hai

junun-e-shauq ab bhi kam nahin hai

magar wo aaj bhi barham nahin hai

bahut mushkil hai duniya ka sanwarna

teri zulfon ka pech-o-KHam nahin hai

bahut kuchh aur bhi hai is jahan mein

ye duniya mahz gham hi gham nahin hai

taqaze kyun karun paiham na saqi

kise yan fikr-e-besh-o-kam nahin hai

udhar mashkuk hai meri sadaqat

idhar bhi bad-gumani kam nahin hai

meri barbaadiyon ka ham-nashino

tumhein kya KHud mujhe bhi gham nahin hai

abhi bazm-e-tarab se kya uThun main

abhi to aankh bhi pur-nam nahin hai

ba-in sail-e-gham o sail-e-hawadis

mera sar hai ki ab bhi KHam nahin hai

'majaz' ek baada-kash to hai yaqinan

jo hum sunte the wo aalam nahin hai

(1532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun-e-shauq Ab Bhi Kam Nahin Hai In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Junun-e-shauq Ab Bhi Kam Nahin Hai is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Junun-e-shauq Ab Bhi Kam Nahin Hai for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Junun-e-shauq Ab Bhi Kam Nahin Hai in PDF.