Kamal-e-ishq Hai Diwana Ho Gaya Hun Main

kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main

ye kis ke hath se daman chhuDa raha hun main

tumhin to ho jise kahti hai naKHuda duniya

bacha sako to bacha lo ki Dubta hun main

ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah

tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main

is ek hijab pe sau be-hijabiyan sadqe

jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main

batane wale wahin par batate hain manzil

hazar bar jahan se guzar chuka hun main

kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahin sakta

kabhi ye wahm ki KHud bhi chhupa hua hun main

mujhe sune na koi mast-e-baada-e-ishrat

'majaz' TuTe hue dil ki ek sada hun main

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-ishq Hai Diwana Ho Gaya Hun Main In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Kamal-e-ishq Hai Diwana Ho Gaya Hun Main is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Kamal-e-ishq Hai Diwana Ho Gaya Hun Main for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Kamal-e-ishq Hai Diwana Ho Gaya Hun Main in PDF.