Karishma-sazi-e-dil Dekhta Hun

karishma-sazi-e-dil dekhta hun

tumhein apne muqabil dekhta hun

jahan manzil ka imkan hi nahin hai

wahan aasar-e-manzil dekhta hun

sada di tu ne kya jaane kahan se

magar main jaanib-e-dil dekhta hun

kahan ka rahnuma aur kaisi rahen

jidhar baDhta hun manzil dekhta hun

ishaara hai tera tufan ki jaanib

magar main hun ki sahil dekhta hun

mohabbat hi mohabbat hai jahan par

mohabbat ki wo manzil dekhta hun

mere hathon mein bhi hai saz lekin

abhi main rang-e-mahfil dekhta hun

tere hathon se jo TuTa tha ek din

wahi TuTa hua dil dekhta hun

kabhi tufan hi tufan hai nazar mein

kabhi sahil hi sahil dekhta hun

ghurur-e-husn-e-baatil par nazar hai

niyaz-e-ishq-e-kaamil dekhta hun

'majaz' aur husn ke qadmon pe sajde

maal-e-zoam-e-baatil dekhta hun

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karishma-sazi-e-dil Dekhta Hun In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Karishma-sazi-e-dil Dekhta Hun is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Karishma-sazi-e-dil Dekhta Hun for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Karishma-sazi-e-dil Dekhta Hun in PDF.