Ek Ghamgin Yaad

mere pahlu-ba-pahlu jab wo chalti thi gulistan mein

faraaz-e-asman par kahkashan hasrat se takti thi

mohabbat jab chamak uThti thi us ki chashm-e-KHandan mein

KHamistan-e-falak se nur ki sahba chhalakti thi

mere bazu pe jab wo zulf-e-shab-gun khol deti thi

zamana nikhat-e-KHuld-e-barin mein Dub jata tha

mere shane pe jab sar rakh ke ThanDi sans leti thi

meri duniya mein soz-o-saz ka tufan aata tha

wo mera sher jab meri hi lai mein gungunati thi

manazir jhumte the baam-o-dar ko wajd aata tha

meri aaankhon mein aanhken Dal kar jab muskuraati thi

mere zulmat-kade ka zarra zarra jagmagata tha

umanD aate the jab ashk-e-mohabbat us ki palkon tak

Tapakti thi dar-o-diwar se shoKHi tabassum ki

jab us ke honT aa jate the az KHud mere honTon tak

jhapak jati thin aanhken aasman par mah o anjum ki

wo jab hangam-e-ruKHsat dekhti thi mujh ko muD muD kar

to KHud fitrat ke dil mein mahshar-e-jazbaat hota tha

wo mahw-e-KHwab jab hoti thi apne narm bistar par

to us ke sar pe maryam ka muqaddas hath hota tha

KHabar kya thi ki wo ek roz mujh ko bhul jaegi

aur us ki yaad mujh ko KHun ke aansu rulaegi

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ghamgin Yaad In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ek Ghamgin Yaad is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ek Ghamgin Yaad for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ek Ghamgin Yaad in PDF.