Daman-e-dil Pe Nahin Barish-e-ilham Abhi

daman-e-dil pe nahin barish-e-ilham abhi

ishq na-puKHta abhi jazb-e-darun KHam abhi

KHud hi jhukta hun ki dawa-e-junun kya kijiye

kuchh gawara bhi hai ye qaid-e-dar-o-baam abhi

ye jawani to abhi mail-e-paikar nahin

ye jawani to hai ruswa-e-mai-o-jam abhi

waiz o shaiKH ne sar joD ke badnam kiya

warna badnam na hoti mai-e-gulfam abhi

main ba-sad-faKHriya zuhhad se kahta hun 'majaz'

mujh ko hasil, sharf-e-baiat-e-KHayyam abhi

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-dil Pe Nahin Barish-e-ilham Abhi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Daman-e-dil Pe Nahin Barish-e-ilham Abhi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Daman-e-dil Pe Nahin Barish-e-ilham Abhi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Daman-e-dil Pe Nahin Barish-e-ilham Abhi in PDF.