Na Ham-ahang-e-masiha Na Harif-e-jibril

na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril

tera shair ki hai zindani-e-gesu-e-jamil

kis ki aankhon mein ye ghaltan hai jawani ki sharab

khol di aah ye kis ne mai-e-gul-gun ki sabil

kis taraf jae kahan jae bata do koi

zulf-e-pur-KHam ka giraftar nigahon ka qatil

aalam-e-yas mein kya chiz hai ek saghar-e-mai

dasht-e-zulmat mein jis tarah KHizr ki qindil

kitni dushwar hai piran-e-haram ki manzil

is taraf fitna-e-iblis udhar rabb-e-jalil

uf ye tufan-e-nashat aur meri tab-e-hazin

aah ye yurish-e-naz aur main majruh o alil

aah wo hosh ka aalam wo ghamon ka tufan

uf ye masti ki hai phir hosh mein aane ki dalil

(1309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ham-ahang-e-masiha Na Harif-e-jibril In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Na Ham-ahang-e-masiha Na Harif-e-jibril is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Na Ham-ahang-e-masiha Na Harif-e-jibril for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Na Ham-ahang-e-masiha Na Harif-e-jibril in PDF.