Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae

kuchh tujh ko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae

wo zulf-e-pareshan bhul gae wo dida-e-giryan bhul gae

ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin

ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae

ab gul se nazar milti hi nahin ab dil ki kali khilti hi nahin

ai fasl-e-bahaaran ruKHsat ho hum lutf-e-bahaaran bhul gae

sab ka to mudawa kar Dala apna hi mudawa kar na sake

sab ke to gareban si Dale apna hi gareban bhul gae

ye apni wafa ka aalam hai ab un ki jafa ko kya kahiye

ek nishtar zahr-agin rakh kar nazdik-e-rag-e-jaan bhul gae

(1201) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae in PDF.