Pahla Jashn-e-azadi

ba-sad ghurur ba-sad faKHr-o-naz-e-azadi

machal ke khul gai zulf-e-daraaz-e-azadi

mah-o-nujum hain naghma-taraaz-e-azadi

watan ne chheDa hai is tarah saz-e-azadi

zamana raqs mein hai zindagi ghazal-KHwan hai

zamana raqs mein hai zindagi ghazal-KHwan hai

har ek jabin pe hai ek mauj-e-nur-e-azadi

har ek aankh mein kaif-o-surur-e-azadi

ghulami KHak-basar hai huzur-e-azadi

har ek qasr hai ek baam-e-tur-e-azadi

har ek baam pe ek parcham-e-zar-afshan hai

har ek samt nigaran-e-yasmin-paikar

nikal paDe hain dar-o-baam se mah-o-aKHtar

wo sail-e-nur hai KHira hai aadmi ki nazar

ba-sad ghurur-o-ada KHanda-zan hai gardun par

zamin-e-hind ki jola-nigah ghazalan hai

sada do anjum-e-aflak raqs farmaen

butan-e-kafir-o-saffak raqs farmaen

sharik halqa-e-idrak raqs farmaen

tarab ka waqt hai bebak raqs farmaen

ki ye bahaar-e-payami-e-sad-bahaaran hai

ye inqalab ka muzhda hai inqalab nahin

ye aaftab ka partaw hai aaftab nahin

wo jis ki tab-o-tawanai ka jawab nahin

abhi wo sai-e-junun-KHez kaamyab nahin

ye intiha nahin aaghaz-e-kar-e-mardan hai

(1263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahla Jashn-e-azadi In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Pahla Jashn-e-azadi is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Pahla Jashn-e-azadi for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Pahla Jashn-e-azadi in PDF.