Mujhe Jaana Hai Ek Din

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi phir dard Tapkega meri aawaz se aaKHir

abhi phir aag uTThegi shikasta saz se aaKHir

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi to husn ke pairon pe hai jabr-e-hina-bandi

abhi hai ishq par aain-e-farsuda ki pabandi

abhi hawi hai aql o ruh par jhuTi KHudawandi

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi tahzib-e-adl-o-haq ki kashti khe nahin sakti

abhi ye zindagi dad-e-sadaqat de nahin sakti

abhi insaniyat daulat se Takkar le nahin sakti

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi to kaenat auham ka ek kar-KHana hai

abhi dhoka haqiqat hai haqiqat ek fasana hai

abhi to zindagi ko zindagi kar ke dikhana hai

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi hain shahr ki tarik galiyan muntazir meri

abhi hai ek hasin tahrik-e-tufan muntazir meri

abhi shayad hai ek zanjir-e-zindan muntazir meri

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi to faqa-kash insan se aanhken milana hai

abhi jhulse hue chehron pe ashk-e-KHun bahana hai

abhi pamal-e-jaur aadam ko sine se lagana hai

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

abhi har dushman-e-nazm-e-kuhan ke git gana hai

abhi har lashkar-e-zulmat-shikan ke git gana hai

abhi KHud sarfaroshan-e-watan ke git gana hai

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

koi dam mein hayat-e-nau ka phir parcham uThata hun

ba-ima-e-hamiyyat jaan ki bazi lagata hun

main jaunga main jaunga main jata hun mein jata hun

mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Jaana Hai Ek Din In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Mujhe Jaana Hai Ek Din is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Mujhe Jaana Hai Ek Din for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Mujhe Jaana Hai Ek Din in PDF.