Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati

ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati

KHud wada-e-farda ki chhati bhi dhaDak jati

honTon pe hansi paiham aate hue sharmati

ab raat nahin kaTti ab nind nahin aati

jo awwal o aaKHir tha wo awwal o aaKHir hai

main nala-ba-jaan uThta wo naghma-ba-saz aati

soz-e-shab-e-hijran phir soz-e-shab-e-hijran hai

shabnam ba-mizha uThti ya zulf-e-daraaz aati

ya-rab wo jawani bhi kya mahshar-e-arman thi

angDai bhi jab leti ek aankh jhapak jati

aaghaz-e-siyah-masti anjam-e-siyah-masti

aaine mein surat bhi aane ki qasam khati

sine mein 'majaz' ab tak wo jazba-e-kafir tha

taslis ki joinda wahdat ki qasam khati

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati in PDF.