Shahr-e-nigar

ruKHsat ai ham-safaro shahr-e-nigar aa hi gaya

KHuld bhi jis pe ho qurban wo dayar aa hi gaya

ye junun-zar mera mere ghazalon ka jahan

mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya

aaj phir ta-ba-chaman dar-e-pai-e-gul-ha-e-chaman

gungunata hua zambur-e-bahaar aa hi gaya

gesuon walon mein abru ke kaman-daron mein

ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya

baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho

ek KHarab-e-gul-o-nasrin-e-bahaar aa hi gaya

KHair-maqdam ko mere koi ba-hangam-e-sahar

apni aankhon mein liye shab ka KHumar aa hi gaya

zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye

phir koi naghma-zan-e-saz-e-bahaar aa hi gaya

ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar

mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-nigar In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Shahr-e-nigar is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Shahr-e-nigar for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Shahr-e-nigar in PDF.