Nazr-e-dil

apne dil ko donon aalam se uTha sakta hun main

kya samajhti ho ki tum ko bhi bhula sakta hun main

kaun tum se chhin sakta hai mujhe kya wahm hai

KHud zuleKHa se bhi to daman bacha sakta hun main

dil mein tum paida karo pahle meri si juraten

aur phir dekho ki tum ko kya bana sakta hun main

dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko

aur tum chaho to afsana bana sakta hun mein

mein qasam khata hun apne nutq ke eajaz ki

tum ko bazm-e-mah-o-anjum mein biTha sakta hun main

sar pe rakh sakta hun taj-e-kishwar-e-nuraniyan

mahfil-e-KHurshid ko nicha dikha sakta hun main

main bahut sarkash hun lekin ek tumhaare waste

dil bujha sakta hun main aankhen bacha sakta hun main

tum agar ruTho to ek tum ko manane ke liye

git ga sakta hun main aansu baha sakta hun main

jazb hai dil mein mere donon jahan ka soz-o-saz

barbat-e-fitrat ka har naghma suna sakta hun main

tum samajhti ho ki hain parde bahut se darmiyan

main ye kahta hun ki har parda uTha sakta hun main

tum ki ban sakti ho har mahfil mein firdaus-e-nazar

mujh ko ye dawa ki har mahfil pe chha sakta hun main

aao mil kar inqalab-e-taza-tar paida karen

dahr par is tarah chha jaen ki sab dekha karen

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazr-e-dil In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Nazr-e-dil is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Nazr-e-dil for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Nazr-e-dil in PDF.