Numaish Mein

wo kuchh doshizgan-e-naz-parwar

khaDi hain ek bisati ki dukan par

nazar ke samne hai ek mahshar

aur ek mahshar hai mere dil ke andar

sunahra kaam rangin sariyon par

bisat-e-asman par mah-o-aKHtar

jamal-o-husn ke pur-roab tewar

numayan chand si peshaniyon par

wo ruKHsaron pe halki halki surKHi

labon mein pur-fishan ruh-e-gul-e-tar

siyah zulfon mein ruh-e-sumbulistan

nazar sar-chashma-e-tasnim-o-kausar

ada-e-naz gharq-e-kaif-e-sahba

siyah mizhgan sharab-aluda nashtar

chamak taron ki chashm-e-surmagin mein

jhalak chandi ki jism-e-marmarin mein

wo KHushbu aa rahi hai pairahan se

faza hai dur tak jis se moattar

tabassum aur hansi ke narm tufan

fazaon mein musalsal barish-e-zar

nishat-e-rang-o-bu se chur aankhen

sharab-e-nab se labrez saghar

wo mehraben si sinon par numayan

faza-e-nur mein cupid ke shah-par

nafas ke aamad-o-shud se talatum

shab-e-mahtab mein jaise samundar

sitaron ki nigahen jhuk gai hain

zamin phir KHanda-zan hai aasman par

koi aaina-dar-e-husn-e-faras

kisi mein husn-e-yunani ke jauhar

kisi mein aks-e-masum-e-kalisa

kisi mein partaw-e-asnam-e-azar

ye shirin hai wo naushaba hai shayad

nahin yan farq-e-farhad-o-sikandar

ye apne husn mein azra-e-wamiq

wo apne naz mein salma-e-'aKHtar'

ye tabani mein KHurshid-e-daraKHshan

wo ranai mein us se bhi fuzun-tar

hansi us ki tulu-e-subh-e-KHandan

nawa us ki surud-ए-kaif-awar

ye shola-afrin wo barq-afgan

ye aaina-jabin wo mah-paikar

wo jumbish si hui kuchh aanchalon ko

wo lahren si uThin kuchh sariyon par

KHiram-e-naz se naghme jagati

wo chal din ek jaanib muskura kar

kisi ki hasraten pamal karti

kisi ki hasraten ham-rah le kar

kabhi aankhen dukanon par jami hain

kabhi KHud apni hi barnaiyon par

idhar hum ne ek aah-e-sard khinchi

hansi phir aa gai apne kiye par

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numaish Mein In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Numaish Mein is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Numaish Mein for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Numaish Mein in PDF.