Dhuan Sa Ek Samt UTh Raha Hai Sharare UD UD Ke Aa Rahe Hain

dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain

ye kis ki aahen ye kis ke nale tamam aalam pe chha rahe hain

naqab ruKH se uTha chuke hain khaDe hue muskura rahe hain

main hairati-e-azal hun ab bhi wo KHak hairan bana rahe hain

hawaen be-KHud fazaen be-KHud ye ambar-afshan ghaTaen be-KHud

mizha ne chheDa hai saz dil ka wo zer-e-lab gunguna rahe hain

ye shauq ki wardat-e-paiham ye wada-e-iltifat-e-paiham

kahan kahan aazma chuke hain kahan kahan aazma rahe hain

surahiyan nau-ba-nau hain ab bhi jamahiyan nau-ba-nau hain ab bhi

magar wo pahlu-tahi ki saugand ab bhi nazdik aa rahe hain

wo ishq ki wahshaton ki zad mein wo taj ki rifaton ke aage

magar abhi aazma rahe hain magar abhi aazma rahe hain

ata kiya hai 'majaz' fitrat ne wo mazaq-e-latif hum ko

ki aalam-e-ab-o-gil se haT kar ek aur aalam bana rahe hain

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhuan Sa Ek Samt UTh Raha Hai Sharare UD UD Ke Aa Rahe Hain In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Dhuan Sa Ek Samt UTh Raha Hai Sharare UD UD Ke Aa Rahe Hain is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Dhuan Sa Ek Samt UTh Raha Hai Sharare UD UD Ke Aa Rahe Hain for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Dhuan Sa Ek Samt UTh Raha Hai Sharare UD UD Ke Aa Rahe Hain in PDF.