Partaw-e-saghar-e-sahba Kya Tha

partaw-e-saghar-e-sahba kya tha

raat ek hashr sa barpa kya tha

kyun jawani ki mujhe yaad aai

main ne ek KHwab sa dekha kya tha

husn ki aankh bhi namnak hui

ishq ko aap ne samjha kya tha

ishq ne aankh jhuka li warna

husn aur husn ka parda kya tha

kyun 'majaz' aap ne saghar toDa

aaj ye shahr mein charcha kya tha

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Partaw-e-saghar-e-sahba Kya Tha In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Partaw-e-saghar-e-sahba Kya Tha is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Partaw-e-saghar-e-sahba Kya Tha for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Partaw-e-saghar-e-sahba Kya Tha in PDF.