Waqt Jab Rah Ki Diwar Hua

waqt jab rah ki diwar hua

koi sailab numudar hua

us ne peDon se haTa lin shaKHen

bagh mein se tu kai bar hua

main ne jo dil mein chhupana chaha

mere chehre se numudar hua

sahili-sham ka phaila manzar

kuchh lakiron mein giraftar hua

raat ek shaKHs bahut yaad aaya

jis ghaDi chand numudar hua

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Jab Rah Ki Diwar Hua In English By Famous Poet Aziz Ahmad Khan Shafaq. Waqt Jab Rah Ki Diwar Hua is written by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Read famous Poem Waqt Jab Rah Ki Diwar Hua for youth and Student by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Free Download Waqt Jab Rah Ki Diwar Hua in PDF.