Yahi Nahin Ki Nazar Ko Jhukana PaDta Hai

yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai

palak uThaun to ek taziyana paDta hai

wo sath mein hai magar sab amanaten de kar

tamam bojh hamin ko uThana paDta hai

main us dayar mein bheja gaya hun sar de kar

qadam qadam pe jahan aastana paDta hai

andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko

har ek raat koi ghar jalana paDta hai

tamam bazm KHafa hai magar na jaane kyun

mushaire mein 'shafaq' ko bulana paDta hai

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Nahin Ki Nazar Ko Jhukana PaDta Hai In English By Famous Poet Aziz Ahmad Khan Shafaq. Yahi Nahin Ki Nazar Ko Jhukana PaDta Hai is written by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Read famous Poem Yahi Nahin Ki Nazar Ko Jhukana PaDta Hai for youth and Student by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Free Download Yahi Nahin Ki Nazar Ko Jhukana PaDta Hai in PDF.