Ghar Se Bahar Nikal Kar

ghar se bahar nikal kar

duniya ko bhi dekha kar

faslen kaT burai ki

achchhai ko boya kar

neki Dal ke dariya mein

apne aap se dhoka kar

sab ko paDhta rahta hai

apne aap ko samjha kar

buDhe bargad ke niche

dil TuTe to baiTha kar

mahfil mahfil hansta hai

tanhai mein roya kar

duniya pichhe aaegi

dekh to duniya Thukra kar

paDh ke sab kuchh sikhega

dekh ke bhi kuchh sikha kar

dushman hon ya dost 'aziz'

sab ko apna samjha kar

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Bahar Nikal Kar In English By Famous Poet Aziz Ansari. Ghar Se Bahar Nikal Kar is written by Aziz Ansari. Read famous Poem Ghar Se Bahar Nikal Kar for youth and Student by Aziz Ansari. Free Download Ghar Se Bahar Nikal Kar in PDF.