Lahu Se UTh Ke GhaTaon Ke Dil Baraste Hain

lahu se uTh ke ghaTaon ke dil baraste hain

badan chhaton ki tarah dhup mein jhulaste hain

hum aise peD hain jo chhanw bandh kar rakh den

shadid dhup mein KHud sae ko taraste hain

har ek jism ke chaaron taraf samundar hai

yahan ajib jaziron mein log baste hain

sabhi ko dhun hai ki shishe ke baam-o-dar hon magar

ye dekhte nahin patthar abhi baraste hain

baha ke le gaya sailab raste jin ke

wo shahr apne KHayalon mein ab bhi baste hain

maal kya hai ujalon ke un dafinon ka

jinhen chhuen to andheron ke nag Daste hain

ajib log hain kaghaz ki kashtiyan gaDh ke

samundaron ki bala-KHeziyon pe hanste hain

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Se UTh Ke GhaTaon Ke Dil Baraste Hain In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Lahu Se UTh Ke GhaTaon Ke Dil Baraste Hain is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Lahu Se UTh Ke GhaTaon Ke Dil Baraste Hain for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Lahu Se UTh Ke GhaTaon Ke Dil Baraste Hain in PDF.