Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun

main us ki baat ke lahje ka e'tibar karun

karun ki us ka na main aaj intizar karun

main sirf saya hun apna magar ye zid hai mujhe

ki apne-ap ko KHud se alag shumar karun

ajab mizaj hai us ka bhi chahta hai ki main

ba-taur-e-waza faqat KHud ko iKHtiyar karun

main ek athah samundar hun is KHayal mein gharq

ki Dub jaun main KHud mein ki KHud ko par karun

KHud apne-ap se milne ke waste pahle

main apne-ap ko dariya se aabshaar karun

main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin

ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun

kisi qadim kahani mein ek muddat se

wo so raha hai ki main us ko hoshiyar karun

phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke

KHud apne panw ki aahaT ka intizar karun

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Main Uski Baat Ke Lahje Ka Etibar Karun in PDF.