PaDa Hai Zindagi Ke Is Safar Se Sabiqa Apna

paDa hai zindagi ke is safar se sabiqa apna

jahan chalta hai apne sath KHali rasta apna

kisi dariya ki surat bah rahi hun apne andar main

mera sahil baDhata ja raha hai fasla apna

luTa ke apna chehra tak rahi hun apna munh jaise

koi pagal ulaT ke dekhta ho aaina apna

ye basti log kahte hain mere KHwabon ki basti hai

ganwa baiThi hun mein bad-qismati se hafiza apna

gae mausam mein main ne kyun na kaTi fasl KHwabon ki

main ab jagi hun jab phal kho chuke hain zaiqa apna

fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se

kisi ne likh diya hai taq-e-nisyan par pata apna

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaDa Hai Zindagi Ke Is Safar Se Sabiqa Apna In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. PaDa Hai Zindagi Ke Is Safar Se Sabiqa Apna is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem PaDa Hai Zindagi Ke Is Safar Se Sabiqa Apna for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download PaDa Hai Zindagi Ke Is Safar Se Sabiqa Apna in PDF.