Na Jaane Kab Se Barabar Meri Talash Mein Hai

na jaane kab se barabar meri talash mein hai

ye kaun KHud mere andar meri talash mein hai

wo mujh mein aur kisi ko talash karta hai

jo mere pas bhi rah kar meri talash mein hai

gila tha jis ko ki main us ka aaina na bani

ab apne sae se thak kar meri talash mein hai

ubal paDun na main ek din kahin kinaron se

zamin hun main samundar meri talash mein hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Kab Se Barabar Meri Talash Mein Hai In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Na Jaane Kab Se Barabar Meri Talash Mein Hai is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Na Jaane Kab Se Barabar Meri Talash Mein Hai for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Na Jaane Kab Se Barabar Meri Talash Mein Hai in PDF.