TaTolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha

TaTolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha

wo aadmi jo meri dastan tak pahuncha

kisi janam mein jo mera nishan mila tha use

pata nahin ki wo kab us nishan tak pahuncha

main sirf ek KHala thi, jahan faza na hawa

jab aarzu ka parinda uDan tak pahuncha

na jaane rah mein kya us pe hadsa guzra

ki umr bhar na nazar se zaban tak pahuncha

ye kam-nasib bhaTakta hua andheron mein

kabhi yaqin kabhi phir guman tak pahuncha

wo jis mein hadd-e-nazar tak charagh jalte the

wo rasta hi faqat darmiyan tak pahuncha

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaTolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. TaTolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem TaTolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download TaTolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha in PDF.