Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main

thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main

nai sahar ke charaghon ka karwan hun main

hawaen mere waraq lauT lauT deti hain

na jaane kitne zamanon ki dastan hun main

har ek shahr-e-nigaran samajh raha hai mujhe

zara qarib se dekho dhuan dhuan hun main

kisi se bhiD mein chehra badal gaya hai mera

to sare aaina-KHanon se bad-guman hun main

main apni gunj mein khoi hun ek muddat se

mujhe KHabar nahin kuchh kaun hun kahan hun main

KHud apni did se mahrum hai nazar meri

azal se surat-e-nazzara darmiyan hun main

mera wajud-o-adam raaz hai hamesha se

wahan wahan bhi nahin hun jahan jahan hun main

(1384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main in PDF.