Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka

tu aaya to dwar bhiDe the dip bujha tha aangan ka

sudh bisrane wale mujh ko hosh kahan tha tan man ka

jaane kin zulfon ki ghaTaen chhai hain meri nazron mein

rote rote bhig chala is sal bhi aanchal sawan ka

thoDi der mein thak jaenge nil-kamal si rain ke panw

thoDi der mein tham jaega rag nadi ke jhanjhan ka

phir bhi meri banhon ki KHushbu har Dal pe lachkegi

har tara hira sa lagega mujh ko mere kangan ka

tum aao to ghar ke sare dip jala dun lekin aaj

mera jalta dil hi akela dip hai mere aangan ka

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka in PDF.