Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin

ek hi KHat mein hai kya haal jo mazkur nahin

dil to dil ishq mein sada waraq-e-tur nahin

ek hum hain ki kisi baat ka maqdur nahin

ek wo hain ki kisi rang mein majbur nahin

imtihan-gah-e-mohabbat nahin gul-e-zar-e-KHalil

kaun aisa hai jo zaKHmon se yahan chur nahin

naza ka waqt hai baiTha hai sirhane koi

waqt ab wo hai ki marna hamein manzur nahin

qabil-e-ghaur hai ai jalwa-paristan-e-azal

ye kahani hai meri waqia-e-tur nahin

misr ka chand ho aaghosh mein zindan ke tulua

fitrat-e-husn badal jae to kuchh dur nahin

sar jhukae dar-e-daulat se palaTne wale

be-niyazi ki adaen hain wo maghrur nahin

jubba-sai bhi gawara nahin karta koi

uTh ke jaana dar-e-daulat se bhi dastur nahin

ishq mein sarhad-e-manzil se kuchh aage honge

us ka rona hai koi sai bhi mashkur nahin

dil mein paiwast hui thi jo mere roz-e-azal

hai wahi shoKH-nazar saiqa-e-tur nahin

dil ko bhi di gai hai KHidmat-e-dard-e-abadi

sirf aankhen hi meri rone pe mamur nahin

sar-e-mizhgan mere aansu ka sitara chamka

dar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin

sad surKHi se kiya kis ne sar-e-fard-e-jamal

apne aalam mein tere dida-e-maKHmur nahin

zindagi KHatm hui jab to ek aawaz suni

aa gaya main tere nazdik bas ab dur nahin

ruh kahti hui nikli hai dam-e-naza 'aziz'

un se is bazm mein milna hamein manzur nahin

(627) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin in PDF.