Nazar Ki Fath Kabhi Qalb Ki Shikast Lage

nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage

meri hayat parae ka band-o-bast lage

na wo nuqush na husn-e-kashish ki baat rahi

sanam-farosh bhi jaise KHuda-parast lage

abhi mila tha abhi phir bichhaD gaya koi

ye hadsa bhi hikayat-e-bud-o-hast lage

farishte dekh rahe hain zamin o charKH ka rabt

ye fasla bhi to insan ki ek jast lage

wahan safine ko pahuncha diya hai tufan ne

har ek mauj-e-bala ab jahan se past lage

tere hi gham ne kisi samt dekhne na diya

ki ab hujum-e-tamanna bhi tang-dast lage

jo teri bazm se 'bekal' chala to hosh mein tha

ajib baat hai ab wo bhi mast mast lage

(1228) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ki Fath Kabhi Qalb Ki Shikast Lage In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Nazar Ki Fath Kabhi Qalb Ki Shikast Lage is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Nazar Ki Fath Kabhi Qalb Ki Shikast Lage for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Nazar Ki Fath Kabhi Qalb Ki Shikast Lage in PDF.