Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha

jo tamasha nazar aaya use dekha samjha

jab samajh aa gai duniya ko tamasha samjha

us ki eajaz-numai ka tamashai hun

kahin jugnu bhi jo chamka yad-e-baiza samjha

main ye samjha hun ki samjhe na meri baat ko aap

sar hila kar jo kaha aap ne achchha samjha

asar-e-husn kahun ya kashish-e-ishq kahun

main tamashai tha wo mujh ko tamasha samjha

kya kahun mere samane ko samajh hai darkar

KHak samjha jo mujhe KHak ka putla samjha

ek wo hain jinhen duniya ki bahaaren hain nasib

ek main hun qafas-e-tang ko duniya samjha

mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'

main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha in PDF.