Pachhtaoge Phir Humse Shararat Nahin Achchhi

pachhtaoge phir hum se shararat nahin achchhi

ye shoKH-nigahi dam-e-ruKHsat nahin achchhi

sach ye hai ki ghar se tere jannat nahin achchhi

huron ki tere samne surat nahin achchhi

bhule se kaha man bhi lete hain kisi ka

har baat mein takrar ki aadat nahin achchhi

kyun kal ki tarah wasl mein tashwish hai itni

tum aaj bhi kah do ki tabiat nahin achchhi

jab itni samajh hai to samajh kyun nahin jate

main bhi yahi kahta hun ki hujjat nahin achchhi

huron ki taraf aankh uTha kar bhi na dekha

kyun ab bhi kahoge teri niyat nahin achchhi

pahuncha hai qayamat mein bhi afsana-e-ulfat

itni bhi kisi baat ki shohrat nahin achchhi

hum aib samajhte hain har ek apne hunar ko

kya kijiye majbur hain qismat nahin achchhi

mil aaiye dekh aaiye aaj aap bhi ja kar

'beKHud' ki kai roz se haalat nahin achchhi

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pachhtaoge Phir Humse Shararat Nahin Achchhi In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Pachhtaoge Phir Humse Shararat Nahin Achchhi is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Pachhtaoge Phir Humse Shararat Nahin Achchhi for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Pachhtaoge Phir Humse Shararat Nahin Achchhi in PDF.