Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar

dukhti hai ruh panw ko lachaar dekh kar

ruk jaenge kahin koi diwar dekh kar

subki na ho kahin taraf-e-yar dekh kar

aankhen uThaiye bhi to dastar dekh kar

niklo jo ban-sanwar ke to bazar dekh kar

mangen hain mol shakl-e-KHaridar dekh kar

kahna to bas yahi hai ki chahen hain hum tujhe

ghabraiyo na baat ka bistar dekh kar

sustae hai irada tasahul ke ru-ba-ru

dukhte hain panw saya-e-diwar dekh kar

apnon se munh chhupae phire hai ek aadmi

jeben TaTol ke kabhi bazar dekh kar

marun hun hath-paon bahut 'ashk' KHud ko main

apne hi bazuon mein giraftar dekh kar

(1956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar in PDF.