Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin
rone walon ne tere gham ko saraha hi nahin
raat KHush rah ke bhi kaT sakti hai socha hi nahin
na kahin abr ka ghunghaT na hawa ki pazeb
din kai din se tere rang mein dekha hi nahin
tu bhi in ujDe dayaron mein hai meri manind
aisa lagta hai ki tu ne mujhe dekha hi nahin
tujh se shikwa bhi agar ho to koi baat bhi ho
aaina chhoD ke mujh ko koi samjha hi nahin
ek ye patthar hai ki Thokar se bahut dur gaya
ek ye dil hai ki sine se nikalta hi nahin
yun to is rah mein lahke kai aanchal lekin
dil pe wo rang chaDha hai ki utarta hi nahin
baiTh rahiye bhi to kya rah-guzar-e-shab mein
ab ye rasta teri aankhon se guzarta hi nahin
(1843) Peoples Rate This